🌸 “Main Larki Hoon, Main Kar Sakti Hoon” – Meri Asli Kahani | Desi Blogger Life

Main ek Desi Pathan family se hoon, jahan larkiyon ke liye zindagi ki kuch hadain hoti hain. Jab maine apni 12th (ICS) complete ki, mera sapna tha ke main university jaaun. Lekin family ka kehna tha:
“University ka mahaul acha nahi hota. Larkiyan bigad jati hain.”
Unko lagta tha ke university sirf dosti aur azadi ka naam hai. Unko yeh nahi dikhta tha ke ek larki ka sapna bhi ho sakta hai apne pairon pe khari hone ka.
🖥 Sirf Ek Old PC Aur Bohot Sa Hosla
Mere paas mobile bhi nahi tha. Sirf ek normal PC tha — slow, hang karta, lekin mera sirf ek dost.
Main usi PC par online earning ke videos dekhti aur unko practical karne ki koshish karti. Kisi se support nahi milti thi, sirf Allah aur apne irade pe bharosa tha.
🛍 Shopify Ka Dhoka
Phir ek din dekha YouTube pe:
“Free mein Shopify store banao aur lakhon kamao!”
Toh maine bhi try kiya. Lekin sirf 7 din ka trial tha. Uske baad plan buy karna padta hai, jo mere paas paisay hi nahi thay.
Aur usmein sirf basic batatay hain. Na proper research, na backend management ka kuch.
Aur agar seekhna chaho, toh kehtay hain course lo — jo mahenga hota hai.
Har koi apna kaam nikalta hai:
“Mere link se join karo…”
Lekin truth koi nahi batata. Mujhe lagne laga sab fraud hai.
😔 Depression Aur Tanhaai
Us waqt main itni depress thi ke har raat rone lagti thi. Sochti thi:
“Kya sirf is liye nahi kar sakti kyunke main larki hoon?”
“Agar larka hoti toh sab kuch easy hota…”
Doston ne bhi saath chhod diya — woh apni uni life mein busy ho gaye.
Main akeli thi. Sirf Allah tha jo sunta tha. Main roz dua karti thi:
“Ya Allah, mujhe bhi moka de kuch banne ka.”
🎥 Ek Video Ne Zindagi Badal Di
Itne struggle ke baad ek din ek video dekhi, jo meri aankhein khol gayi.
Channel ka naam tha: Sadam Qasim.
Us video ne bataya:
- Blog shuru karne ke real steps
- Keyword research, niche selection
- Investment kitni chahiye
- Tools aur plugins
- Google Adsense ki policies
Aur sabse important baat:
“Online kaam karna hai toh investment aur knowledge dono chahiye.”
💰 Paisay Kahan Se Layi?
Mere paas hosting kharidne ke liye paisay nahi thay.
Family ne support nahi kiya.
Mujhe kaha gaya:
“Yeh sab fraud hai. Chhod do.”
“Tum larki ho. Tumse nahi hoga.”
Lekin maine pocket money bachai — roz ke 50 rupee jama kiye.
Research bhi karti rahi, niche aur keywords dhoondhti rahi.
Finally, hosting kharidne ke paisay jama ho gaye.
Mere bhai ke EasyPaisa account se payment ki.
Aur meri pehli website live ho gayi! 😭❤️
🎯 Aaj Ka Maqsad
Ab mera goal hai ke apni site ko monetize karoon, aur logon ko sach sach bataoon ke online earning ka rasta mushkil hai — lekin namumkin nahi.
Main un sab logon ko galat sabit karna chahti hoon jinhon ne mujhe kaha:
“Tumse nahi hoga.”
🗣 Aap Kya Sochtay Hain?
Kya aapne bhi kuch aisa face kiya hai?
Kya aap bhi kisi stage pe ruke thay?
Kya aapko bhi kabhi laga ke aap akelay hain?
Please comment karein ya mujhe message karein.
Main chahti hoon ke Desi Blogger Life sirf meri kahani na ho — hum sab ki awaaz banay. 🤝💪
Part 2 continue…………………………….